Digital Bloggers Life

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Breaking

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Thursday, August 3, 2017

What Is Blogging & Who is blogger ?


Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko blogging ke bare me batauga,
ki blogging kya hoti hai, aur blogger kya hota hai, aur hum blog kyu banate hai,
aur blog se kitne rupye kama skte hai.
chaliye start krte hai..

Blogging Kya Hai:-

Internet ki duniya me blogging ek well known topic hai,
Agar ek najariye se  Dekha jaye To blogging kuch bhi nhi hoti, aur
dusre najariye se dekha jaye to blogging bhut kuchh hai,
Blogging ek online diary ya online journal ki tarah hoti hai,
jispe hum apne daily life ki bate share kar skte hai, ya
phir kisi specific subject se related information ya news post
kar skte hai,

Blogging ka matlab hai kisi bhi topic par information provide krna,
ya phir kisi product pe apne review dena,
aaj internet pe har subject par blog available hai,
fashion, technology, health, sport, medical, education, foods,
style, wild life etc, computer knowledge etc.
jab bhi kisi ko kisi bhi specific topic par koi information leni hoti hai,
to wo us subject se related blog post padh leta hai,
aur use specific information mil jati hai..
Jaise Ki aap logo ko blogging ke bare me pata krna tha aur aap logo ko
meri ye blog post padhne ko mil gayi, to aap logo ka thoda bhut andaja ho jayga
ki aakhir blogging hoti kya hai,
Blogging ko aur achhi tarah se samajhne ke liye aapko khud blogging krni padegi.
Aur blogger us person ko kehte hai jo kisi bhi subject pe
 blog banata hai aur regular usse related information post krta hai,
usse hum blogger kehte hai,

Blogging Ke Platform:- 

Blogging krne ke liye humare pas 2 sabse best platform hai,
1. Blogger.com    2. wordpresss.com

# blogger: ye google ki service hoti hai, jise use karke hum free blog
site bana skte hai.
# wordpress: ye wordpress name ki company ki service hoti hai,
 ye bhi hume free me blog site banane ki suvidha deti hai.

free me blog banane ke liye neeche click kre:
 for blogger click here:
 for wordpress click here:

Duniya bhar me kuch log hai, jinhone blogging ko hobby se shuru
karke aaj use ek successful full time carreer ke roop me introduce karaya hai,
in logo ne blogging ke jariye dusre logo ko new technologies ke bare me,
different products ke bare me bata kar dusro ke sath knowledge share
karke blogging ko ek dusre ki help krne ka ek successful aur easy platform
bana diya hai,


Bloggers Ki Kamayi:-

ab aap logo ko world ke kuch most successful blogger ke bare me batata hu,

sr no.   blogger name           blog name             income/year
------------------------          ----------------          ----------------
1. Harsh Agarval Shout Me Loud       20 lakh

2.      Abdul Wali Online Ustaad          15 lakh


Ummid Hai Aap logo ko achhe se samajh aa gya hoga ki aakhir blogging kya hoti hai,
Aur adhik janne ke liye aage ki posts ko read kare,
jisse aap blogging ko achhi tarah se samjah ske,

agar aapke man me ab bhi koi doubt ho to bina hesitation ke mujhse
question puch skte hai,
apna question neeche comment box me likh ke mere pas bhej dijiye,
me aapki help krne ke liye always available hu.
Aap Logo Ko Agar Kisi Specific Topic Par Knowlegdge Chahiye Ho To Please comment
krke request daal de..me next post me us topic ki sari information aapko
de duga,
Suggestion always welcome..

Happy Digital Life !!

No comments:

Post a Comment

Please Share Your Thoughts With Us.

Featured Post

How To Get Adsense Approvel ?

Hello Friends !! Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai, is post me, mein aapko Batauga ki Adsense Ka approval kaise milta hai, au...