Digital Bloggers Life

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Breaking

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Thursday, August 3, 2017

How To Earn Money On Youtube ?

Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko Batauga ki youtube ke jariye paise kaise kamaye jate hai,
to chaliye shuru karte hai,


Youtube Kya Hai:-

dosto, aaj ka time information technology ka time hai, jab bhi kisi person ko koi
information chahiye hoti hai to wo us jankari se ralated information ko internet pe
search krta hai,
aur internet pe information pane ka sabse aasan tarika google aur wikipedia hai,
google aur wikipedia ki ek weakness hai ki wo keval text-information provide krata
hai, but kuchh information aesi hoti hai ki jinhe samjhane ke liye text-information
kafi nhi hoti, aesi information ko provide krne ke liye google ne youtube name ki
service shuru ki hai,
jaise ki man lijiye aapko computer assemble krna hai aur
aapke pas ek computer assembling guide hai, but us guide me koi picture nhi hai,
sari information text form me ho..tab aapko computer assembling me kitni
preshani aayegi,
aur ab jara sochiye...aapko computer assemble krna hai aur aapke samne
ek video chal rha hai jisme koi person computer ke sare parts assemble krke
aapko dikhata ja rha hai, to aap us person ko dekhte huye apne computer ko
aasani se assemble kar lege,
bas youtube ke piche yahi idea kam krta hai,
youtube par duniya bhar ki tamam jankari videos ki shakal me mojud hai,
youtube pe har topic har subjetcs se related information ke videos mil jayege,

lekin ab aap soch rhe hoge ki youtube ne itne sare videos kaise bana liye, ki
duniya ki takreeban har jankari mojud hai,
to aapko bata du ki youtube ne ek bhi videos nhi banaya hai,
ye sare videos youtube use krne vale log banate hai, aur use youtube pe upload
kar dete hai, aur jab log un videos ko dekhte hai, to youtube un videos
ke beech-beech me advertisement dikhata hai, aur jab log un advertisements pe
click krte hai, to youtube us video ko upload krne vale user ko un advertisements
se huyi earning ka 55% rupya de deta hai,
aur is tarah youtube se paise kamaye jate hai..


Youtube Se Paise Kaise Kamaye:-

youtube pe videos bana kar har month 5000-10,000 rupye aasani se kamaye ja skte hai,
youtube se paise kamane ke liye hume krna bas itna hai ki,
sabse pahle gmail.com pe ek email banani hai, phir youtube.com pe jake
youtube pe ek account banana hai aur bas koi aesa topic ya subject choose krna hai,
jisme hume knowledge ho..aur us topic se related information se related
information ka video bana kar youtube pe upload kar dena hai,
aur kuchh dino bad hi humare earning shuru ho jati hai,

lekin bas dhyan itna rakhna hai ki aasani se kuch hasil nhi hota,
mehnat kro aur phir success aapki...

To dosto...ummid hai ki aap logo ko youtube ke jariye paise kaise kamaye jate hai
iske bare me sufficient knowledge mil gyi hogi.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke jo
bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki madad krke bhut achha lagega.

Happy Digital Life !!

No comments:

Post a Comment

Please Share Your Thoughts With Us.

Featured Post

How To Get Adsense Approvel ?

Hello Friends !! Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai, is post me, mein aapko Batauga ki Adsense Ka approval kaise milta hai, au...