Digital Bloggers Life

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Breaking

This blog is related to blogging, technology and make money online, wordpress and web development........ Our Motto : Technology | Money | Lifestyle

Thursday, August 3, 2017

What Is Amazon FBA ? & How To Earn Money From Amazon FBA ?



Hello Friends !!

Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai,
is post me, mein aapko Batauga ki Amazon FBA kya hai,
aur iske jariye hum rupye kaise kama skte hai.
to chaliye shuru karte hai,


Amazon FBA Kya Hai:-

Dosto, Aapne amazon.com ka name to suna hi hoga aur ho sakta hai ki aap
me se kuch logo ne kabhi na kabhi amazon.com se online shopping bhi ki hogi,
lekin jo log nhi jante unke liye bata deta hu,
amazon.com world's biggest online shopping website, jiske pas worldwide
40 crore+ registered customer hai aur per day 2 crore orders recieve krti hai,
aur 10 crore+ products is website pe selling ke liye available hai,

Lekin sabse important bat ye hai ki in 10 crore products me amazon ka ek
bhi product nhi hai, wo kabhi khud ka koi product nhi bechta hai,
to ab aap soch rhe hai ki phir itne sare products aakhir kiske hai,
to aap ki jankari ke liye bata du, ye sare products un sellers aur
manufactures ke hai, jo online apna products sell krna chahte hai,
to amazon.com un sellers aur manufactures ko online shopping ka platform
provide karata hai, aur sellers aur manufactures apne products ko
sell krne ke liye amazon pe register krte hai,

ab isme dono ka ye fayda hai ki,
amazon ke pas 40 crore customer ka base hai aur sellers/manufactures ke
pas products hai, to amazon apne customer base ke badle sellers/manufactures
se products ki selling pe commision leta hai,
aur sellers/manufactures ko worlwide customer mil jate hai apne
products sell krne ke liye...ye to huyi bat online shopping ki,

FBA (Fulfilled By Amazon):-

ab bat krte hai amazon FBA program ki,
Amazon FBA Program:- Ye program amazon ne aese sellers ke business ko
support krne ke liye banaya hai, jinke pas business krne ke liye
money ya resources ki kami hai,

to amazon ke is program ke jariye small sellers apne products ko
amazon ke ware house me bhej deta hai,jisse small sellers ka
storage aur maintenance cost bach jati hai,
phir sellers apne products ko sell krne ke liye amazon  pe
register kar dete hai, aur jab unka product sell ho jata hai
to is product ki delivery direct amazon apne warehouse se krta hai,
aur sellers se warehouse ka charge tab hi liya jata hai jab sellers
ka koi product sell ho jata hai,
to is tarah small sellers/manufactures Amazon FBA program ke
jariye apne business ko grow krke jyada rupye kama skte hai.

To dosto...ummid hai ki aap log Amazon FBA aur iske jariye
rupye kamane ke bare me jaan gye honge.
aapko ye post kaisi lagi..comment krke apne suggestion dein...aur aapke
jo bhi questions ho comment krke puchche,
mujhe aapki help krke bhut achha lagega.

Happy Digital Life !!

No comments:

Post a Comment

Please Share Your Thoughts With Us.

Featured Post

How To Get Adsense Approvel ?

Hello Friends !! Digital Bloggers Life Me aapka Welcome hai, is post me, mein aapko Batauga ki Adsense Ka approval kaise milta hai, au...